Thursday, 27 October 2016

अपना खुद का ब्लॉग कैसे बनाये और Adsense से पैसे कैसे कमायें


Personal Blog

अपना खुद का ब्लॉग कैसे बनाये और Adsense से पैसे कैसे कमायें


Share करो ना दोस्त !

How to create your own blog and earn money | अपना ब्लॉग कैसे बनाये और पैसे कैसे कमायें :

Hello Dosto, Kya aap bhi apna blog bana kar paise kamana chahte hain, to aaj main aapko step by step blog banana aur usse kaise earn karein ye bataunga. Aaj kal sabhi blog bana kar rupye kamane ke tarike dhund rahe hain. Kayi sare bloggers roz blogging se 10$ se 50$ dollar tak earn kar rahe hain, blog se aap kitna earn kar sakte hain ye aapke blog pe aane wale traffic pe depend karta hai.


         Blogging aapko ek opportunity deti hai jisse aap apne thoughts ko logo tak pahuncha sakein, isse aap achi khasi kamai bhi kar sakte hain. Bas apko apne blog pe aisi post dalni hoti hain jisse jyada ae jyada log aapke blog par visit karein aur aapki post padhein. Bahut se log blog apne knowledge ko logo ke bich share karne ke liye banate hain.

       Isliye main aaj aapko bataunga ki aap bhi kaise khud ka blog bana sakenge aur apne knowledge ko share kar payenge. Lekin ek dhyan me rakhne wali baat ye hai ki aapki earning tabhi hogi jab  aapke blog par accha traffic hoga. Blog banana aur blogging karne ke liye Expert coding ki bilkul jarurat nahi hoti hai. Main aapko aaj guide karunga, to dekhte hain kaise aap blog banayein:



How to make your own blog on blogger:
Step 1:-Sabse pehle www.blogger.comwww.blogger.com par jayein.

Step 2:-Ab apne google account se Blogger par signup karein.

Step 3:-Successful login ke baad ‘New Blog’ pe click karein.

Step 4:-Ab apne Blog ka name enter karein, aur apne blog ke liye web address ke sath sath template choose karein aur ok karein.

Step 5:-Ab Aapka blog ready hai, New post par click karein aur apni pehli post ka title aur content likh kar publish karein.
Ab aap apne blog ke address pe jaker apni pehli post dekh sakte hain. Now keep posting aur apne blog ko social sites pe promote karein jisse aapke blog pe traffic aaye. Apne blog se rupye earn karne ke liye aapko google adsense pe apply karna hoga. Iske google.com/adsense par jayein aur adsense pe signup karein. After approval apne blog pe Ads code ko insert karein. Pehle to main aapko apne blog ke template ko kaise change karein aur usse attractive kaise banayein taki jyada visitors aapke blog pe aayein, ye batata hu.


How to change theme(template) on blogger:
Step 1:-Theme ko change karne ke liye aapko niche diye gaye link pe jana hoga:
                 www.gooyaabitemplates.comgooyaabitemplates.com

Step 2:-Ab koi bhi free Blogger template jo aapko accha lage, usse download kar lein.
Step 3:-Ab vapas www.Blogger.com  par aayein , aur apne blog pe click karein.

Step 4:-Ab ‘template’ pe click karein, uske baad ’EDIT HTML’ ko select karein.

Step 5:-Ab jo apne template download kiya hai use open karein, Usmein ek A.xml file hogi, use notepad me open karein, aur pure code ko copy kar lein.

Step 6:-Copy kiye huye code ko Edit Html wale section me paste karein aur save kar dein. Ab apne blog par visit karein, aapke blog ki appearance change ho gayi hogi.
To upar diye huye steps se aapke blog ka template successfully set up ho gaya hoga. Agar aapko abhi bhi template nahi pasand aa raha to aap use upar ke steps repeat karke change kar sakte hain. Ab next step me google adsense ke liye kaise apply karein ye dekhenge. Google Adsense Gives High CPC(click per cost), it means aap isse earn kar sakte hain for every click.

Agar aapke blog par ache khase visitors hog ye hain toh aap adsense ke liye apply kar skte hain aur apne blog ke traffic se aap paise kama sakte hain.
यह भी पढ़ें:


How to earn money with google adsense:
Step 1:-Go to www.google.com/adsense ,aur sign up karein.

Step 2:-Agle 2-3 din  me aapko google ki taraf se adsense ke approval ya disapproval ke liye mail aa jaega.

Step 3:-Agar aapki application approve ho gayi ho to- www.google.com/adsensepe jayein aur apne account credentials se login karein.

Step 4:-Ab aapko ‘Place Ads Code’ ki button dikhegi uspe click karein, apni ad unit ko title edit karein aur’ save and get code’ pe click karein.

Step 5:-Jo code screen pe appear ho use copy karein, aur apne blog pe aayein.

Step 6:-Ab ‘layout and Add Gadget’ pe click karein aur ‘HTML Javascript Gadget’ ko choose karke usmein code ko paste karke save kar dein.

Ab 1-2 din wait karein, jab aapki site pe ads appear hone lagein to iska matlab hai ki aapka account activate ho gaya hai. Ab apni website ko promote karein aur apni earning ko google adsense pe dekhein.

यह भी पढ़ें:
Successful Blogger कैसे बने ? कमाई करने का सटीक उपाय
रोहित मेवाडा ( हिंदी में हेल्प ) की तरह successfull कैसे बने ?

Ab bas apne blog pe post karein aur earn karein.   
दोस्तों , अगर आपको कोई भी समस्या है  तो आप कमेंट द्वारा पूछ सकते हैं. और प्लीज इस पोस्ट को अधिक से अधिक शेयर करे .

No comments:

Post a Comment