Root Kya Hai, Root Karne Ke Fayde Aur Nuksan Hindi Me
Root Kya Hota Hai.
Friends, Agar Aap Ek Android User Hai, To Aapko Pata Hon Chahiye Ki Android Ek Open Source SoftwareOpen-source_software Hai. Asal Me Aap Apne Android Phone Ko Kaisa Bhi Bana Sakte Hai, RAMRandom-access_memory, Internal Memory, Yahan Ki Tak Ki Mamory Card Ki Storage Bhi Badha Sakte Hai, Aaap Apne Android Phone Ki IMEI Bhi Change Kar Sakte Hai, Koi Bhi Change Kar Sakte Hi, Lekin Esa Karne Ke Liye Aapko Apne Phone Ko Root Karna Hoga, Yani Android Phone Ko Root Karne Se Aap Apne Android Phone Ko Apne Mutabik Customize Kar Sakte Hai.Root Ek Su Binary Hai, Jo Android Phone Me Install Hota Hai, Lekin Bina Rooting Ke Aap Su Binary Ke Files Ko Access Nhi Kar Sakte, Eske liye Root Karna Hota Hai.Aapko Bahut Se Ese Apps Milenge, Jo Har Phone Me Work Nhi Karte, Unhe Rooting Permission Ki Jarurat Hogi, Esliye Root Karne Se Aap En Apps Ko Bhi Chala Payenge, Jld Ham Aapko Best Rooting Apps Ke Bare Me Bhi Batayenge.
Root Karne Ke Kai Fayde Hai, Lekin Nuksaan Bhi Kam Nhi Hai, Kyuki Manufacturer Eski Ezazat Nhi Dete, Chaliye Jaante Hai Root Ke Asal Fayde Aur Kuch Hone Wale Nuksaan.
Root Karne Me Fayde, Advantage Of Rooting In Hindi
Friends, Root Ke Kai Fayde Hai, Yahan Tak Ki Aap Apne Phone Ke Kisi Bhi Setting Ko Change Kar Sakte Hai, Software Me Kaisa Bhi Changes kar Sakte Hai, Apni Battery Ko Save Kar Sakte Hai, IMEI, Android ID Change Kar Sakte Hai, Mai Khud Rooted Device Use Karta Hu, Yahan Tak Ki Maine Apne Jyadatar Android Phone Ko Root Kiya Hua Hai. Agar Aap Free Recharge, Android Hacking Tricks Me Interested Hai, To Aapko Jarur Aapne Phone Ko Root Karna ChahiyeAndroid Root Krne Ke Kuch Fayde
1) Android System File Ko Access Kar Sakte Hai, Edit Kar Sakte Hai, Remove Kar Sakte Hai.
2) Kya Aapka Android Phone Slow Hai, Rooting Karne Se Aap Apne Phone Ko Fast Bhi Bana Sakte Hai, RAM Badha SakteHai, Internal Storage Badha Sakte Hai, Etc.
Read Also –
3) Kya Aapke Phone Ki Battery Jldi Low Ho Jati Hai, Esa Esliye Hota Hai Jyadatar Android Apps Background Me Battery Use Karte Rahte Hai, Lekin Root Karne Ke Baad Aap En Background Apps Ko Stop Kar Sakte Hai, Aur Apne Phone Ki Battery Life Ko Increase kar Sakte Hai.
4) Aap Custom Rom Bhi Install Kar Sakte Hai, Aur Apne Phone Ko Kabhi Bhi Update Kar Sakte hai, Jaise KITKAT To Lolipop.
5) Root Karne Ke Baad Aap Faltu System Apps Ko Bhi Delete Kar Sakte Hai.
6) Root Karne Ke Baad Aap Best Hacking Android Apps Bhi Try Kar Sakte Hai.
To Friends, Waise Root Karne Ke Bahut Fayde Hai, Lekin Aapke Liye Abhi Etna Janna Jaruri Hai, Jldi Mai Aur Reasons Bataunga Ki Aapko Apne Phone Ko Root Q Karna Chahiye. Agar Aap Root Ke Fayde Padhkar Root Karne Ke Liye Utsuk Ho Rhe Hain To Rukiye, Kyuki Ab Nuksaan Ki Bari Hai, Haan Friends Root Ke Kai Nuksaan Bhi Hai, Lekin Dont Worry Kyuki Duniya Me Esi Koi Cheez Nhi Hai, Jiska Fayda Aur Nuksaan Na Ho.
Root Karne Ke Nuksaan, Disadvantage Of Rooting In Hindi
Kyuki Android Ek Open Source Hai Aur Jyadatar Smartphone Android Platform Par Hi Work Karte Hai, Esliye Manufacturer Aapko Android Use Karne Ke liye Ek Limit Me Daal Dete Hai, Agar Aap Android ko Root Karte Hai To Wo Aapko Warranty Se Bahar Kar Dete Hai, Last Time Mera Ek Rooted Samsung Phone Warranty Ke Andar Khrab Ho Gya Tha, Jab Mai Service Centre Gya To Unhone Apne Phone Ko Lene Se Mana Kar Diya, Maine Unse Reason Pucha, To Unhone Kaha Ki Aapka Phone Rooted Hai, Ham Rooted Phone Ko Accept Nhi Karta, Fir Mujhe Pata Chala Ki Android Phone Ko Root Karne Se Kuch Nuksaan Bhi Hai.Lekin Friends Maine Bhi Than Liya Ki, Mai Apne Phone Ko Esi Service Centre Me Dikhaunga, Aakhir Mere Hard Earn Money Ka Swaal Tha. Esliye Maine New Trick Dhundhi, And Successfully Apne Phone Ko Unroot Kar Diye.
Guys Dont Worry Mai Aapko Jldi Hi Unroot Karne Ki Trick Bhi Bataunga. Abhi Jaante Hai
Android Phone Ko Root Karne Ke Nuksan
1) Phone Ki Warranty Khtm (Lekin Ab Aap Android Phone Ko Unroot Bhi Kar Sakte Hai, Jisse Warranty WaPas Aa Jati Hai)
2) Phone Hard Bricks Yani Aapka Phone Khrab Bhi Ho Sakta Hai, Personally Mere Sath Esa Kabhi Nhi Hua Hai, Lekin Xpert Ke Anusar Esaa Ho Sakta Hai.
3) Phone Ke Sabhi Data Erased Bhi Ho Sakte Hai, Esa Hone Ke Bahut Kam Chances Hai.
Root Kaise Kare In Hindi
To Kya Ab Aap Apne Android Phone Ko Root Karna Chahte Hai, Agar Aapka Answer YES Hai, To Maine Aapke Liye 2 Tutorial With Pictures Ke Sath Ready Kiya Hai, Jise Padhkar Easily Aap Apne Phone Ko Root Kar Sakte Hai.
1) Kingroot Se Root Kaise Kare Kewal 2 Minute Me
2) Samsung Phone Ko Root Kare, Without PC
No comments:
Post a Comment