Thursday, 27 October 2016

Paytm Se Online Mobile Recharge Kaise Kare

Paytm Se Online Mobile Recharge Kaise Kare

Hello Friends, Agar Aap Janna Chahte Hai, Ki Paytm Se Online Mobile Recharge Kaise Karte Hai, To Yah Post Padhte Jayiye. Jaisa Ki Aapko Pata Hai Ki Online Recharge Karne Se N Sirf Hamara Time Bachta Hai, blki Hamari Energy Bhi save Hoti hai. Bahut log Online recharge Esliye Nahi karte, Kyuki we sochte hai ki, Online Recharge Karne Se Hamare Card ki detail save Ho jati hai, Aur Hacker Esse Paise Bhi nikal Sakte hai, Agar Aap Bhi Yah Sochte hai Ki Online Recharge Karne Se Hamari Card Detail Hack Ho Sakti Hai, to Aap galat hai, Kyuki Aajkal Online companies Bahut safe Ho gayi hai, Aur Apne database file Ko Protect Karna jaanti hai. Esliye Mai aaapko yahi Suggestion dunga ki Aap online Recharge kare, bas Ek Baat Ka dhyan rakhe ki online recharge karte samay achhi website Ka chunav Kare Jo Site Trusted Ho. Es Par Maine Ek Articles Bhi likha hai Jise Aap Yahan Se Padh Sakte Hai
Online Recharge Karne Ke Liye best 3 Website Ya App
To Aaj Ke Es Post Me Ham Jaanenge Ki Paytm.com Se Mobile Recharge Kaise Karte Hai. (Step by Step Guide)
Step 1. Sabse Pahle Paytm.com Par Jayiye
Step 2. Mobile Recharge Karne Ke Liye Aapko Yahan account banana hoga. Account banane Ke Liye Sign – up Par Click Kare. (Agar Aapke Paas Pahle Se Hi Paytm Account hai to Sign in Kare)
image
Step 3. Account banane Ke Baad, Recharge Karne Ke Liye, Ab Yahan Apna Mobile No. Operator Name Jaise Airtel, Idea, Circle Jaise Delhi, Mumbai, Aur Kitne Ka Recharge Karna Hai Wo Dele, Sab Kuch Sahi Sahi Dalne Ke Baad Proceed Par Click Kare.
image
Step 4. Ab Next Window Me, Paytm Prome Code dalna hai (Agar Aapke Paas Hai To)
Ab Proceed to Pay Par Click Kare.
image
Step 5. Ab Next Page Me Ab Aap Kuch Options Dekh Payenge, Jisme Aapse Pucha Jayega Ki Aapko Paisa Payment Kaise Karna hai, Jaise –
Debit Card ( Yani Aapke Bank Ka Card Jisse Aap Paise Nikalte hai)
Credit Card (Jo Bank Apne Apne Khas Customer Ko Issue karti hai)
Net Banking
ATM Card
IMPS
Aap Jisse Bhi Paisa Payment Karna Chahte hai, Bas Us Par Click Kare,
image
Jyadatar log Payment Ke Liye Debit Card use karte hai, Kyuki Yah Ek aasaan Tarika hai. Aur Jiske Paas Bank Account hoga uske Paas ATM Card To Hoga hi. Apne Debit Card Se payment Karne Ke Liye Aapko Kuch bato Ka gyan Hona Chahiye, Jaise –
CARD No – Jo Ki Card Ke Upar 16 Digit ki Number Hoti hai
Expiry Date – Yah Bhi Card Me Hi Print Hoti hai
CVV Ya CVC – Yah Card Ke Back Side Me 3 Digit Ka No Hota Hai,
image
Ab Payment Option Me Debit Card Select Kariye, Aur Sab Kuch Sahi Sahi Bharke Proceed  Par Click Kare.
Ab Aapke Bank Ka Page Khulega, Jaise Mera PNB Ka Account hai, to Mai PNB Ke Page Par Pahuch Gya.
Ab Yahan Secure Code Dalna Hai (Jo Aapne First Time Online Transaction Ke Liye Use Kiya tha)
Agar Aap Apne Debit Card Ka first time Online Transaction Kar Rahe Hai, to Aapko new Secure Code set Karna hoga.
Dhyan Rahe Yahan Aap Apne ATM Ka PIN mat Dal Dena, Nahi to Card block Ho Jayega.
image
Ab Secure Code Dalna Ke Baad Submit Par Click Kare.
Ab Agle Screen Me Aap Dekh Payenge, ki Aapka Recharge Successful Ho Gya hai.
image
Bas Ho Gya Aapka Phone Recharge.
To Friends, Ye Tha Paytm Se Online Recharge Karne Ka Tarika, Aur Tips & Tricks Ke Liye Bane rahiye

No comments:

Post a Comment