Saturday, 15 October 2016

JIO SIM FREE TRICKS

JIO SIM HACKER Friends is post me mai aapko bataunga ki reliance jio 4g ki orange and blue sim, dono ke beech kya difference hai. Mai aaoko is post me jio ki koi trick nahi bata raha hu. Sirf knowledge ke lie aapko bata raha hu ki aakhir inme kya antar hai. Aapne jio sim liya hoga to aapne dekha hoga ki aapko blue ya orange packet me mili hogi aur aapke friends me bhi kuch ko orange to kuch ko blue packet me sim mili hogi. Jio 4g ke offers dono sim ke liye ek hi hai. Sabhi ko 31 december 2016 tak free internet, free calling, free sms aur kuch free apps and subscriptions mil rahe hai. Sabhi ko ek si internet speed mil rahi hai. Dono me se kisi bhi sim me koi extra feature nahi hai to fir aakhir dono me difference kya hai isi baat ko aa ham is post se janenge. Jaanne ke lie ye post puri read kare. Jio 4G Ki Orange And Blue Sim Me Kya Differnce Hai Ham aapko dono sim ke baare me alag alag batayenge aur kosish karenge ki aap ise sahi tarike se samajh jaye. Reliance Jio ki Orange Sim Jaisa ki aap dekhe honge ki jio sim ke liye bohot se booths hai aur kai mobile shops par ye aapko uplabdh hai. Jab aap jio sim lete hai aur yadi aapko orange packet milta hai to aapse barcode ki xerox copy, id proof ki xerox copy and 2 passport size ki aapki photo jama karwai jati hai aur aapko sim de di jati hai. Iske baad retailer aapki sim ke lie ek form fill karta hai jisme aapki detail fill ki jati hai, sim ke packet ki detail fill ki jati hai aur aapke documents attach kare jate hai. Iske baad retailer ise najdeeki jio center me jama kar deta hai. Jama karne ke baad jio center is jankari ko jio ke head office me send karta hai. Waha par aapka form check hota hai iske baad aapke phone me jio ka network show hota hai aur aapko fir 1977 me call karke id verification process compelete karna hota hai iske baad hi aapki sim work karti hai. Is poori process me 10 se 12 din ya is se jyada samay bhi lag jata hai. Reliance Jio Ki Blue Sim Aapko jio sim ka blue packet sirf waha milega jaha par e - KYC system ke dwara sim provide karai ja rahi hai. Yadi aapko blue packet milta hai to waha par aapse aadhar card ka number poocha jata hai, aapka barcode dekha jata hai aur fingerprint machine me aapka finger print liya jata hai. Aapki sim ke packet ke barcode ko scan kiya jata hai aur last me ye sari detail online fill kari jati hai jiske baad aapki sim aur number aapko de di jati hai. e - Kyc system me hota ye hai ki sim ke barcode ke sath aapka aadhar card link ho jata hai jisse aapki id proof turant ho jati hai. Ye 1 se 2 hours me chaalu ho jati hai, wese to iska samay 48 hours bataya gaya hai but jaldi chaalu ho jati hai. Is Process Me Badlav Aayega Ya Nahi Dosto jab jio sim launch hui thi to blue packet sim sirf jio workers ke lie bas thi aur orange packet ki sim customers ke lie. Jab e - KYC system shuru hua to jaha jaha ye system tha waha par customers ko bhi blue packet sim di jane lagi but ab jio ka e - KYC system kuch places ko chhodkar lagbhag sabhi jagaho par shuru ho chuka hai islie aajkal orange packet ki sim bhi e - KYC system ke jarie milne lagi hai. Aapko Kon Si Sim Lena Chahiye Friends jaisa ki maine aapko dono me antar bataya aur last me ye bhi bataya ki aajkal orange sim bhi e - KYC system se milne lagi hai aur wo bhi jaldi chalu ho jati hai. But abhi bhi bohot si jagaho par ye system abhi chaalu nahi hua hai to mai aapko suggest karunga ki aap blue packet sim hi le ya fir jaha se le rahe hai uske bare me pata kar le ki e - KYC system hai ya nahi. Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye, is post se related koi problem ho to hamse comment me pooche, hamari new post mail se pane ke lie hamara blog subscribe kare aur fb par pane ke lie hamara fb page like kare aur is post ko apne friends ke saath share

No comments:

Post a Comment