Wednesday, 26 October 2016

Paytm Tric: Free में 20 रुपये का रिचार्ज कैसे करे | Latest Trick Oct 2016

Hi Friends, Kya aap Free me 20 rupaye ka Recharge kamana chahte hai?. Agar ha to aap sahi jagah kyoki aaj mai apko ek aise trick ke bare me batane wala hu. Jisse aap Paytm se 20 Rupaye ka Free Recharge kar sakte hai. apko shayad yaad hoga kuch time pahle Paytm ka ek Offer aaya tha. Jisse aap Free me 25 ruapye kma sakte the.
But is bar Paytm kuch naye trick ke sath apko Free me Recharge kamane ka mauka de raha hai. Jisse aap Ek Mobile number par 20 Rupaye ka Recharge kar  sakte hai. Agar aap Soch rahe hai apke pass to Reliance Jio ka SIM hai. Jisme apko 31 Dec 2016 tak Free Unlimited Voice Calling ka Offer hai. To apko Recharge ki kya jarurat hai.
But apko Paytm ke jis Offer ke bare me batane wala hu. Us Trick ka ye Fyada hai, aap Jio SIM Number ka use karke Registration kijiye. And kisi aur number par 20 Rupaye ka Recharge kijiye. Isse apka Jio SIM use bhi ho jayega. Sath me apko 20 Rupaye ka Recharge bhi mil jayega.
Is Trick ke bare me batane se pahle mai apko Paytm aur uske is offer ke bare me kuch batana chahata hu. Jisse apko is Trick ko use karne me help mile aur aap acche se Trick ka use kar paye.

Paytm aur Uska Free Recharge Offer:

Dosto apko pta hoga Paytm ek Shopping Site hai. Jaha par apko Filpkart aur Amazon se bhi sasta Product milate hai. But Paytm sabse jyada Recharge aur E ticketing ke liye famous hai. Kyoki Agar aap Paytm se koi bhi Recharge karte ho to apko minimum 10% ka Cashback milata hai. And Maximum 100% tak Cashback mil sakta hai.
Example ke taur par Agar apne SIM par 100 rupaye ka Recharge kiya, To apko minimum 10 ruapye ka Cashback milega. Agar aap paytm ke Purane User hai to apko 50% ya 100% tak Cashback mil sakta hai. Yani apka 100 raupye ka Recharge bhi ho jayega aur sath me apko 100 rupaye bhi wapas mil jayega.
Ye to ho gaya Paytm ke Permanent offer ke bare me jo apka Hamesha milega. Ab mai apko Paytm ke Special Recharge Offer ke bare me batane wala hu. Paytm kuch-kuch samay me koi na koi naya aur Free offer lata rahata hai. Kuch aisa hi Offer, Paytm is bar bhi laya hai.
Paytm Special Recharge Offer, Jiske antergat apke har ek naye Number ke liye 20 Rupaye ka Mobile Recharge pa sakte hai. Example ke taur par agar apke 10 Mobile Number hai to aaap 200 rupaye ka Rechage kar sakte hai. But Is Trick ko use karnege se pahle Kuch Term and Condition ke bare me Jankari rakhana bahut jaruri hai.
  • Ye Offer keval New User ke liye hai. Matlab agar apko Koi Mobile Number jo Paytm par pahle se Register hai. To apko Is Offer ka Labh nahi utha sakte hai.
  • Special Recharge Offer me aap Free Coupon ka use keval Recharge karne ke liye kar sakte hai. Free Coupon ko aap Wallet me Transfer nahi kar sakte hai.
  • Is Paytm Trick se aap Ek Number par keval ek Bar recharge kar sakte hai. Matlab Agar apke pass 2 New Mobile Number hai. Aur aapne apne dono Number ko Register kiya hai. But aap chahte ho apke dono SIM ka 20-20 balance keval 1 SIM me Rechage ho jaye. To aisa nahi ho sakta hai.

Paytm Special Recharge Ka Use Kaise Kare:

Friends ab tak to apko samjh me aa gay hoga. Ki Paytm aur uska Special Offer kya hai. Ab mai apko Step by Step batunga ki aap kaise apne Number ko Register karke 20 rupaye ka Recharge kar sakte hai. To chaliye Dekahte hai ki kaise Hota hai.
Sabse agar aap Mobile use kar rahe hai. To apko Paytm ka App Google Play Store se Download karna padega. Agar aap Laptop use kar rahe hai to apko www.paytm.com ko open karna padega.

Download Paytm App For  ||  Android  || Blackberry  ||  iPhone ||  Windows  ||

Dosto mai apko Paytm ke Special Recharge ke bare me Laptop par  Website ka use karke bta raha hu. Apko Yahi Sara Process paytm App me bhi karna hoga.

Paytm Par Id Kaise Banye:

  • Paytm ke Special Recharge offer ka use karne ke liye aap sabse pahle apne laptop ya PC par www.Paytm.com Website ko Open kar Le. Aur Right Side me diye gaye “SignUp” button par Click kare.
Paytm Signup Page
  • Jiase hi aap SignUp Button par click karenge. Apke Samne ek popup Box open hoker aayega. Jisme apko apna “New Mobile Number”, “Gmail ID” aur ek “New password” enter karna hoga. Uske bad “Create Your Paytm Wallet” par click karna hoga.
Enter Signup Details
  • Jiase Hi aap Craete Your Paytm Wallet par click karnge To ek naya Popup Box Open hoga. Aur apke Mobile Number par ek 6 Digit ka “OTP” Code Send ho jayega.
Otp Number
  • Ab apko wo “OTP” Code Enter  karna hai. Aur apna Full name Enter karke neeche diye gaye button par click kar dena. Bus apka  Account Create Ho jayega.
Create paytm Account

Free Recharge Kaise Kare:

  • Special Recharge Karne ke liye apko sabse pahle “Prepaid” Plan Select karna hoga. Prepaid Plan Select karne ke bad apko Apna Mobile Number (Any), aur Enter amount me “20” Enter karke “Proceed to Recharge” par click karna hoga.
Proceed to rechage
  • Jaise hi aap Proceed to Recharge par click karenge. Aap Payment level par pahuch jayenge. jaha apko Free Recharge Coupon Code Apply karna hai. Free Recharge Coupon Code Apply karne ke liye apko “Have a Promo Code” par Click karna hai.
Have a promo Code
  • Have a Promo Code par click karne ke bad “FREE20” Coupon Code Enter karke. Apply par click karke Promo Code ko Verified kare.
Enter Promo Code
  • Apply par Click Karne ke bad apka “Free20” Coupon Code Verified ho jayega. Bus Ab aap “Proceed to pay Rs 20” par Click karke. Rechage kar sakte hai.
Promo Code Applied
Dosto Free Mobile Recharge ke liye hum na jane kitne Software Download kar lete hai. Apne Android Phone me aur un sare Software me apko tarah-tarah ke Offer milate hai. Ye Video Download karo 10 rupaye ka Rechage paye, WO App Download karo 30 rupaye ka Rechage paye. Hum iske chakker me na jane kitne Video Dekh lete hai aur Kite Faltu ke App Download karte hai.

But agar aap Paytm ka is Trick use karte hai. To na hi apko Koi Video Dekhana hai aur na hi Koi App Download karna hai. Bus aap ek New Mobile Number se Id banae aur 20 Rupaye ka Recharge paye.
उम्मीद है ये ये पोस्ट आपको पसंद आया होगा | और आप  इस ऑफर का मज़ा उठा रहे होंगे |अगर आपको इस पोस्ट में कोई प्रॉब्लम है | या  इस पोस्ट के बारे में आपके पास कोई विचार या सुझाव है तो आप हमें कमेंट जरुर कीजिये |
manish guptamau ब्लॉग पर आने के लिए आपका धन्यवाद

No comments:

Post a Comment