Hello friends aaj mai aap sabhi ke saath Whatsapp ka trick Ek phone me do whatsapp account use kare? share
karne ja raha hu, Internet me suru se hi whatsapp ke bare kafi tricks
search kiye jate hai, whatsapp ke bahut se tricks reveal hue hai aur
dhire dhire ye tricks khtam bhi hote ja rahe hai lekin ye jo tricks hai 1
phone me 2 whatsapp chalane ki ye trick kabhi over nahi hoti hai. Pahle
ke Clone whatsapp me update ki problem hoti thi jisse ki User’s ek
phone me do whatsapp to use kar sakte the lekin secondry clone whatsapp
jyada din tak run nahi karti thi aur mahine bhar me update karne ko kaha
jata tha jisse ke baad me uska use kar pana muskil hota tha lekin ab ye
trick Update ho chuki hai aur ab aap GB whatsapp ki madad se 1 Phone me
2 whatsapp easily chala sakte hai.
Log aksar whatsapp ko lekar Internet me tricks search karte rahte hai aur inme se sabse jyada search whatsapp hack karne ke bare kiya jata hai, Dosto whatsapp ko hack karna itna aasan nahi hai agar aap aisa karne ki soch rahe hai to bhul jaiye kyuki Jis comapny ka TurnOver 200$ per day sirf india me hai wo company iske security ke liye kya kuch nahi karega, Waise whatsapp ko hack kar sakna muskil to hai lekin agar tricks ka use kare aur thoda dimag lagaye to kisi ke account ke messeges ka pata kar sakte hai lekin yaha mai aapko uske bare batauga nahi kyuki hamara ye blog Hacking se related contant publish nahi karta hai, Khair ye baat to hui whatsapp ko hack karne ki chaliye ab ham 1 phone me 2 whatsapp ko chalane ke bare baat karte hai,
Log aksar whatsapp ko lekar Internet me tricks search karte rahte hai aur inme se sabse jyada search whatsapp hack karne ke bare kiya jata hai, Dosto whatsapp ko hack karna itna aasan nahi hai agar aap aisa karne ki soch rahe hai to bhul jaiye kyuki Jis comapny ka TurnOver 200$ per day sirf india me hai wo company iske security ke liye kya kuch nahi karega, Waise whatsapp ko hack kar sakna muskil to hai lekin agar tricks ka use kare aur thoda dimag lagaye to kisi ke account ke messeges ka pata kar sakte hai lekin yaha mai aapko uske bare batauga nahi kyuki hamara ye blog Hacking se related contant publish nahi karta hai, Khair ye baat to hui whatsapp ko hack karne ki chaliye ab ham 1 phone me 2 whatsapp ko chalane ke bare baat karte hai,
Internet me aapko Apne phone me chalane ke liye dhero secondry
whatsapp milege par aapse request hai ki aap sabhi whatsapp apps ko
check karne ke liye apne phone me install mat kare kuch whatsapp hote
hai jinhe hackers Launche karte hai un whatsapp ka kaam bhi same hota
hai usme bhi aap messeges ek dusre ko send kar sakte hai lekin un
whatsapp ko install karne se wo aapke phone ka Root acess kar leta hai
jisse ye hota hai ki hackers ko aapke security ka password acess mil
jata hai aise me agar aap koi online shoping karte hai jisme agar aapka
Debit, Credit card ka use hota hai to aapke card ko acces kar lete hai
waise ise samjhana muskil hai yaha lekin bas aap itna jaan le wahi
whatsapp ka use kare jo sabhi aapko recommand karte hai, Waise mai aapko
phone me 2 whatsapp chalane ke liye GB whatsapp recommand karuga, Kaha
jata hai GB whatsapp secure hai aur ye aapke phone ke password ko access
nahi kar sakta hai pata nahi ye baat kitni had tak sahi hai par agar
proffesinal kah rahe hai to sahi hi hoga.
1 Phone Me 2 Whatsapp Chalane Ke liye Kin Chijo Ki Jarurat Padti Hai?
- GB Whatsapp – Android phone me do whatsapp Account use karne ke liye ek To aapko General Whatsapp chhaiye aur ek GB whatsapp, GB whatsapp same to same simple whaatsapp ki hi tarah hoti hai lekin isme simple whatsapp ke mukable GB whatsapp me bahut se feature diye jate hai, Waise internet me aapko dhro secondry whatsapp milege but aap GB whatsapp ko hi apne phone me download karke install kariye.
- Internet Connection – Phone me internet connection hona bahut hi jaruri hai, Aapko GB whatsapp ko download karne ke liye internet connection ki jarurat padti hai isliye phone me WiFi connection or Data Connection hona jaruri hai.
- Root Not Required – Ye GB whatsapp bina root ke achee se work karti hai isliye apko apne phone ko root karne ki jarurat nahi hai, Agar aapka phone pahle se bhi rooted hai tab bhi isse koi pareshani nahi hai ye root au non-root dono me ache se work karti hai.
GB Whatsapp Ka Kya Kya Features Hai?
Isme aapko Gneral whatsapp ke mukable dhero sare feature diye gaye hai in sabhi features ko mai niche aapko batauga lekin usse pahle mai aapko batata hu ki iska jo Theme Changer feature hai wo mujhe bahut pasand hai ish gb whatsapp me hai yahi ek feature sabse achaa hai jo mujhe pasand hai waise baki sare features bhi ish whatsapp ke achhe hai lekin ye Theme wala features kuch mujhe jyada hi pasand hai isliye mai 1 phone me 2 whatsapp use karta hu.Features –
- Update ka koi problem nahi hai, Agar update ke liye kaha bhi jaye to iske official web page se aap new whatsapp download kar sakte hai.
- Calling Feature ache se work karti hai saath hi isme Video call ki bhi feature di gayi hai jo ki Normal Whatapp me nahi hota hai.
- Blue tick, Delivery tick dono ticks ko hide karne ki permision aapko di gayi hai.
- Last Screen easily Hide kar sakte hai.
- Whatsapp Ke Theme, Color ko change kar sakte hai, Isme aapko 150+ Theme provide kiya gaya hai jisme se aap koi bhi theme select kar sakte hai aur wo bhi free me kar sakte hai.
- Big Files ko ZIP karke Send kar sakte hai.
- Koi Bhi Files ko easily share kar sakte hai.
- Typing Hide kar sakte hai.
Ek Phone Me Do Whatsapp Kaise Chalaye?
Apne smartphone me 2 Whatsapp ko chalana bahut hi easy hai iske liye aapko bas GB whatsapp apne phone me download karke install karni hai. GB whatsapp apko Playstore me nahi milegi ise aap mirror site se hi download kar sakte hai, Kuch Logo ka kahna hota hai ki mirror site wale bahut ghumate hai aur app install bhi nahi hoti hai unke liye mai bata du dosto agar aap mirror site se ise download nahi kar sakte hai to iske official site me jakar ise install kariye.Step 1. Sabse pahle apne Phone me GB whatsapp apne phone me download kariye.
Step 2. Jab app fully download ho jaye tab app ko phone me install kariye.
Step 3. Insall karne ke baad GB whatsapp ko open kariye.
Step 4. GB whatsapp ko open karne ke baad isme apna phone number enter kariye aur send OTP button par click kariye.
Step 5. Jab aapke phone me OTP aa jaye tan OTP ko GB whatsapp me daalkar verify button par click kare.
To dosto aapko hamari ye jankari kaisi lagi ummid hai aapko hamari ye post 1 phone me 2 whatsapp kaise chalaye? pasand aayi hogi agar aapko ish post se related kuch sawal puchna hai to wo aap hame comment ke jariye puch sakte hai ya hamare contact form ki madad le sakte hai, agar aapko hamari ye jankari pasand aayi to ise social media aur apne dosto ke sath jaru share kariye.
...................................................................................................................................................................
<div class="fb-like" data-href="https://developers.facebook.com/docs/plugins/" data-layout="button_count" data-action="like" data-size="small" data-show-faces="true" data-share="true"></div>
No comments:
Post a Comment