Monday, 23 January 2017

Google adsense kya hai aur google adsense account kaise banate hai

aap is post me janenge ki google adsense kya hai aur kaise google adsense ko you tube channel se jodkar paise kamate hai




Adsense account kaise banaate hai in hindi




ek baat batana chahunga ki yadi aapne you tube channel banaya hai aur aapne use google adsense se nhi joda hai to aap paise nahi kama skte hai,iske liye jaruri hai ki aap apne you tube channel ko goodle adsense se jode.
ab jante hai google adsense kya hai ?
google adsense google ki hi ek company hai 
.ab mana ki aapke paas koi website blog ya you tube channel hai to aap publisher hai
jo log aapke you tube channel ke video ,website ya blog ko dekhte hai use traffic kahte hai.
aur aesi compnys jo apne product ko bechne ya fir vigyapan dikhane ke liye traffic ke pass jati hai use advertisers kahte hai.
ye compniya google adsense ke madhyam se aapke you tube channel,blog ya website par vigyapan dikhate hai,vigyapan dikhane ke liye ye compnys google adsense ko paise deti hai. Aur google adsense un paiso me se kuchh paise kaatkar hame de deti hai in sab ke bare me maine pahle hi bataya tha.
google adsense me account banana bahut hi assan hai aur achhi baat ye bhi hai ki hum google adsense me apna account free me bana sakte hai  . Par google adsense me apna account banane ke liye google adsense ne kai sharte rakhi hai, in sabhi sarto ko agar aap maanenge tabhi aapka google adsense me account ban payega.
google adsense ke shart ye hai-
1:-aapko 18 Saal se upar hona chahiye,yadi aapka 18 Saal nhi hua to aap apne parrents ki anumati lekar aap unke naam se account bana sakte hai.
2:-Aap khud apni adds ya vigyapan par click nhi karenge aur na hi kisi aur ko bolkar apne adds ya vigyapan par click karne ko kahenge.
3:-adult ,porn graffic site par google adsense nahi dalenge.
4:-aap dusro ke samagri-समाग्री(content) पर jaise -video,gana,music ya dusro ke you tube video jo copyright hote hai usme google adsense ke vigyapan nhi lagayenge.
5:-agar aapke pass google adsense ka account pahle se hai to dusra account nhi banayenge.
6:-yadi aapne in sharto ka paalan nhi kiya to aapka account band ho jayega.

google adsense account banane ke liye jante hai step by step-

1:-sabse pahle aap apne browser me type kare adsense.google.com
2:-ek naya page khul gaya ab yadi aapke paas pahle se adsense accont hai to upar right side sign in par click kre aur yadi google adsense par account nhi hai to get started par click kare.



Adsense


3:-Ab ek aur naya page khul gaya ,agar aapke paas pahle se google account hai to Photo me jo 1 No. Pe likha hai uspe click kre aur nhi hai to pahle gmail id banaiye 2 No pe jo likha hai uspe click kare .ab mai manta hu ki aapke pass pahle se google account hai to app pahle 1 numbr pr Jo likha hai uspe click kare.
ab ek naya page khul gaya isme aap apna gmail id aur password bhi dale aur sign in par click kre.
ab ek aur naya page aa gaya
ab 1 Numbr pe aapko puchh rha hai ki ye adds aap kaha dikhyenge. Yadi aap you tube channel par adds dikhana chahte hai to aap you tube me jakar direct sign in kar sakte hai,aur yadi aap blog par adds dikhana chahte hai to aap blog par jakar sign up kar sakte hai filhaal aap 1 Number pe apne you tube channel ki link daal de.
2;-isme aapki languge puchh rha hai to aap isme hindi select kr le.
ab niche hai iski terms and condition matlab ki shart jo ki maine pahle hi bata diya hai .yadi aapne sharto ka paalan nhi kiya to aapka aaccount band ho jayega.
ab countunue par click kr de
ek aur naya page aa gaya isme
1:-apna desh select kre.
2:-time zone apne aap aa jayega.
3:- Isme aap yadi single hai men hai to pahle wale ko indivisul ko select kro aur yadi aap bussnesman hai aapka koi website hai to dusre ko bhi select kr skte hai par aap pahle wale ko hi select kre.
4:-payee name- Isme same to same aapka naam vaisa hona chahiye jaisa aapka bank account me naam hai. Yadi apne naam me thoda bhi galti kiya to aapko samsya ho sakti hai payment milne me.baad ne ye naam aap badal nhi payenge .yadi aapki umar 18 Se kam hai to apne parents se puchh ke unka naam daal sakte hai.
fir apna adress,state ,pin code,phon numbr dale.
6:- Ab aapko adsense ke bare me kaise pata chala to yaha friend select kare.
7:-email prefrense jaisa select hai vaisa rahne de.
8:- Submit my application pr click kare.
ab aapko apna phon numbr veryfy karna hai .apna number de jo pahle diya hai. Ab aapko code kaisa chaiye massage se ya voice call se to aap message select kare. send verificatin code par click kre.ab naya page khul gaya.Aapko ek message aayega usme diye code ko waha dale.usme diye code ko dale fir very fy kare.
ab ek aur naya page aa gaya jata hai wo aapko thankyou bol rha hai ki aapne adsense me apply kiya.aapki appication jama submit ho gai hai.
abhi jaruri nahi ki aapka account approved ho. Wo aapko cheq karega ki aap unki sharto ko pura karte hai ki nhi. Aapka application approved ho jayega to wo aapko aapke email par email kar dega.
ab aapne jaan liya hai ki google adsense kya hai aur google adsense hame paise kyu aur kaise deta hai.
 I hope कि ये जानकारी आपको अछी लगी होगी, आपको इस पोस्ट से रिलेटेड कहि भी परेशानी होती है तो आप मुझसे comment box से पुछ सकते है|
और अबतक आपने हमारा website i am helps hindi subscribe नही किया है तो बिना समय गवाय हमे subscribe कर ले और ऐसा आपको कर लेना चाहिये क्युकी हम इसमे computer,internet,मोबाइल,internet कि तक्निकी जानकारी के बारे मे और बहुत सी जानकारी डालते है और इसकी जानकारी आपको free मे मिलती रहती है तो बिना समय गवाये subscribe कर ले|

No comments:

Post a Comment