Saturday, 14 January 2017

Android Phone ka password Reset Kaise Kare

Android phone ki speed jab slow ho jaye ya phone Hang hone lage to samjh jaaye ki ishe hard reset karne ki jarurat hai, Hard reset karte hi phone phir se Factory Mode ki tarah work karne lagta hai aur phone ki speed bhi naye smartphone ki tarah ho jati hai.
Android phone hard reset kaise kare
Hard reset android phone’s ke liye bahut hi jaruri hai agar aapke pass ek android phone hai to hard reset ke bare me aapko jan na bahut  hi jaruri hai, Generally jab phone slow hota hai tab aap use reset (Format) karte ho par reset sirf reset karne se hi kaam nahi banta hai.
Phone ko sirf reset karne se wo Factory mode ki tarah work nahi karti hai, Well kuch din tak karti hai aur phir slow ho jati hai aisa isliye kyuki kisi kisi phone me reset karne se sirf phone ki settings reset hoti hai pura Os thik se reset nahi hota hai isliye aapko apne android phone ko recovery mode se hard reset karne chahiye.

Ab aapke man me ek question hoga ki ye recovery mode hai kya chij? chaliye ise ek example se samjhte hai, Maan lijiye aapke paas ek android phone hai aur wo itna purana ho chuka hai ki uska Operating system work nahi kar raha aur jiske karan phone ki screen kaam nahi kar rahi tab aap kya karoge?
Tab aap phone ko hard reset karoge aur wo kaise? Generally har android phone me 3 Key hote hai, 2 Volume Up & Down aur 1 power key. Inhi key me aapka recovery menu hidden hota hai jise aapko press karke ise activate karna hota hai.
Agar aap apne phone ko (Format) reset karna chahte hai to ise recovery menu me jakar reset kariye kyuki phone ko factory mode reset karne ka ye sahi tarika hai, agar aap phone ko settings me jakar reset karte hai to phone ka Caches ( saved files) puri tarah se cleare nahi hoga aur phone phir slow ho jayega.

Phone Ko Hard Reset Kyu Karna Chahiye?

Normal reset me phone ka sara data to erase ho jata hai lekin internal storage me hidden security caches file ko ye puri tarah se delete nahi kar pata hai jiske karan baad me yahi caches file dhire dhire restore hota chale jata hai aur phir phone dheema ho jata hai.
Agar aapka smartphone virus ke karan slow hai aur aap phone ko normal reset karte hai tab bhi wo virus ko puri tarah se delete nahi kar pata hai, phone me aksar jyada apps hone ki wajah se ye slow hota hai jab internal storage me apps ka caches file store nahi ho pata tab wo RAM me jakar Store ho jata jiske karan phone slow hota hai aur hang hone lagta hai.
Normal reset karne se phone sirf Internal storage aur apps ko cleare karta hai RAM ko wo puri tarah se clean nahi karta hai aur isliye phone baad me bhi slow hota hai, Hard reset me aisi problem nahi hoti hai hard reset me phone ka sara Internal Data aur RAM clean ho jata hai.

Hard Reset Karne Ke Kya Fayde Hai?

Hard reset ke baad phone pahle jaisa (Factory Made ) ho jata hai aur agar apka phone rooted hai to wo automatic hi unroot ho jata hai. Normal reset me phone unoot nahi hota hai agar aapne kingroot se apne android ko root kiya hai to uska application normal reset ke baad bhi installed hi rahta hai par hard reset ke baad root ka koi bhi file phone me nahi hota hai.

Agar aapka android smartphone kisi tarah Locked ho gaya hai to hard reset ki madad se aap ise unlock kar sakte hai, agar phone me pattern ke alwa aur koi bhi lock laga hai to use bhi aap iski madad se easily tod sakte hai, ab aapko market me jakar phone lock todwane ke liye 200 rs kharch karne ki jarurat nahi hai ab aap khud se hi Locked android phone ko Unlock kar sakte hai.

Android Phone Ko Fully Reset (Format) Kaise Kare?

Recovery se phone ko format (reset) karne ke 2 tarike hai agar aapke paas Pc hai to usse bhi aap android phone ko fully reset kar sakte hai, Log jyadatar mobile se work karna pasand karte hai isliye mai aapko smartphone se hi reset karne ke bare me bataunga, Isme jyada steps nahi hai bas 2-4 key press karke aap phone ko reset kar sakte hai.
Step 1. Sabse pahle apne phone ko Switch Off kariye.
Step 2. Ab Power + Volume Up bottom ko ek saath press kariye.
Step 3. Power + Volume Up key press karne par phone on ho jayega aur screen me recovery menu ka Logo dikhega.
Android phone reset kaise kare
Step 4. Jab aisa aapke screen par No command likha aa jaye tab aap Power button ko dabaye, Power button ko dabate hi aapke screen me recovery menu option khulega.
Hard reset kaise kare
Recovery menu me ab Volume down button dabar niche aaye aur Wipe data/Factory reset option ko Volume Up button dabakar select kaiye.
Step 5. Jaise hi aap Wipe data/factory reset option ko select karenge to ek new screen open hogi aur usme aapko wipe data confirm karne ko kaha jayega tab aap Yes Delete All User Data select karke phone ko Format kar dijiye.
Phone ko hard reset karne ka tarika
Yes delete all user data confirm karke phone ko reset kare, confirm hone ke baad 2 second me aapke phone ka sara data erase ho jayega aur aapka phone reboot ho jayega, agar phone reboot nahi hota hai to wapas recovery menu me aaiye aur reboot option select kare.
  • na karne ke baad aapka phone fully reset ho jayega aur aapke phone me jitne bhi internal aur external data sabhi delete ho chuke honge, RAM me bhi stored jitne bhi caches file hoga wo sab hard reset se clean ho chuka hoga aur aapka phone phir se naye jaisa work karne lagega.
Note :- Samsung User’s Hard reset karne se pahle apne Playstore or Google Account ka password apne paas rakhe, samsung mobiles ko reset karne ke baad aapko usme apna google account mobile confirm karne ke liye dalna hota hai.
So friends aapko hamari ye jankari kaisi lagi agar aapko hamara ish post Android phone reset kaise kare? se related sawal puchna hai to aap hame comment kariye.
Post ko social media me jarur share kare Thankyou 🙂

No comments:

Post a Comment