Monday, 23 January 2017

Website Me Virus Hai Ya Nahi Kaise Jane - How To Check Virus In Website

Is Technology ki duniya mein agar koi sab se khatarnak hai toh voh hai Hacking and Virus.Computer ke koi bhi program ko nuksan pahochana ho toh bas ek virus hi kafi hai.Jaise-Jaise technology aage badh rahi hai vaise-vaise technology ko nuksaan pahochane wale bhi badh rahe hai.Agar ham virus ki baat kare toh virus bahot si chizo me alag-alag ho sakta hai.Jaise ki Computer Virus,Mobile Virus,Medical Virus,Website Virus etc.
Website Me Virus Hai Ya Nahi Kaise Jane - How To Check Virus In WebsitePuri duniya me 1.5 crore se bhi zyada websites hai or aaj ke time khud ki website banane ka craze bhi badhta ja raha hai.Aisi situation me hame pata lagana chahiye ki hamari website me bhi koi virus hai ya nahi.Agar koi virus hamari website me hoga toh hame nuksan pahocha sakta hai isliye Virus ka pata laga ke aaj hi uska solution kare.Toh aaiye jante hai ki apne website ya blog me virus kaise check kare.

Apni Website Me Virus Hai Ya Nahi Kaise Check Kare

  • Internet par aisi bahot si sites hai jo hamari site ko scan kar ke virus ke bare me batati hai.aaj me ek aisi hi website ke bare me batauga jisse aap pata laga paoge ki apni website me virus hai ya nahi ?
  • Sab se pehle aap niche di gayi website ko open kare.

Website Me Virus Hai Ya Nahi Kaise Jane - How To Check Virus In Website
  • Is website par pahochne par aap dekh sakte hai ki yaha aap computer files or apni website ke url ko bhi scan kar sakte hai.
  • Agar aap file ko scan karna chahte hai toh file pe click kare or file ko upload kar ke scan kar lijiye.
  • Aur agar aap website scan karna chahte hai toh URL par click kare or apni site ka url paste kar dijiye.
  • Website ka url daal ne ke baad aap Scan It ! pe click kar ke apni website me rahe virus ke bare me jaan sakte hai.
  • Agar aapko koi virus ke bare me pata chalta hai toh vaha solution bhi bataya jayega ki kaise aap virus ko khatam kar sakte hai.
Toh dosto,aap is aasan tarike ka use kar ke apni website ko scan kar lijiye or agar koi virus ho toh mujhe comment se zarur bataye taki ham uska kuch solution kar sake.Or agar aapki website me koi Virus nahi hai toh aap bindass apni website ko aage badhaye or achi tarakki kare ! Biee..........and All The Best !

..........................................................Thanks For Reading.....................................................

No comments:

Post a Comment