Monday, 23 January 2017

Android Phone Se One Click Root Kaise Kare - How To Root Android Phone Without PC

Aajkal Sab apne android phone ko root karna chahte hai.Kyu ki android ko ek baar root karne se pure mobile ki system unlock ho jati hai or phone me ham apne hisab se bahot sare changes kar sakte hai.Jaise ki Phone ki internal storage (memory) ko increase karna,Phone ki RAM ko increase karna Ya fir latest Android version install karna.Android phone ko Root karne ke 2 tarike hai.(1) PC se root karna Aur (2) Mobile Se Root karna.In dono me se sabse aasan or safe tarika hai mobile se root karna.Islie aaj ham janege Bina PC ke mobile se kaise root karte hai.
Mobile Se Android Phone Ko Root Kaise Kare - How To Root Android Phone Without PC
Mobile root kya hota hai.Mobile ko root kaise karte hai.mobile ko root karne ka aasan tarika.So kuch aise hote hai aapke questions jinka jawaab aaj aapko aasan bhasha me mil jayega.Aap yaha par mobile root karne aaye ho isliye i m sure aapne kahi na kahi mobile root ke benefits yani ki fayde ke bare me zarur padha hoga.Or unme se hi kisi ek fayde ek purpose ya multiple purpose ke liye aap apne android phone ko root karna chahte hai.


Mobile Root Kya Hota Hai - Root Meaning

  • Kya aapne kabhi koi paid software use kiya hai ya fir koi paid game play ki hai.Agar Haa toh aapko pata hoga ki Official paid software jisme hame 1 mahine ke liye trail version diya jata hai.Trial version me ham software ke sabhi features ko full access nai kar pate hai.Or jan 1 month ke baad time period khatam ho jata hai tab hame uske baad premium software buy karna hota hai tabhi ham fully features ko access kar sakte hai.
  • Same issi tarah mobile ki root process me hai.Phone ke aap maan nai sakte utne unlimited features available hai but voh hidden hai or ham phone me zyada kuch access bhi nai kar sakte.Jaise ki aap kisi game ko khel rahe hai or usme kuch change karna hai toh ham nai kar sakte.But phone me root karne ke baad ham phone me kuch bhi matlab kuch bhi kar sakte hai.Kyu ki root ke baad sari authority hamare haath me aa jati hai.

Mobile Root Ho Jane Ke Baad Ham Usme Kya-Kya Kar Sakte Hai - Root Karne Ke Fayde

  • Ek baar mobile root ho jane ke baad ham mobile ki operating sytem me jad tak pahuch kar usme apne manchahe changes kar sakte hai.
  • Abhi aapke mobile me jo company ki apps hai voh delete nai ho rahi hogi,Root ke baad aap kisi bhi Pre-installed apps ko delete kar sakte hai.
  • Kuch special applications aisi hoti jo sirf rooted mobile me hi support karti hai.Jaise ki WiFi Hacking Ya kisi bhi Hacking Apps ke lie rooted mobile jaruri hai.
  • Apne phone ki internal memory Aur RAM ko badha sakte hai.
  • Kisi bhi operating system ko update Ya install kar sakte hai.Jaise ki Agar aapka phone android 2.2.3 hai toh aap root ke baad Android Kitkat version 4.4.2 update kar sakte hai.
  • Phone ki battery life ko badha sakte hai.Jise aapke mobile ki battery lambe samay tak chal sake.
  • Agar ham PC se android phone ko root karne ke bare me batate toh Voh tarika shayad safe nahi hota or bahot logo ke pas laptop/PC nai hai Isi lie yaha pe ham Mobile se root karne ka aasan tarika bata rahe hai jo bilkul safe hai.


Mobile Root Karne Ke Nuksaan 

  • Mobile root karne ke baad aapke phone ki warrany khatam ho jati hai.Meri mane toh aap phone ko warrany period khatam hone ke baad hi root kare.
  • Root karne ke baad mobile company ki koi authority nai rehti isliye.Company aapko kisi bhi tarah ka update package provide nai karegi.Jo karan hai khud hi custom tarike se karna padega.
  • Phone root karte vaqt agar hamse zara si bhi mistake hoti hai toh phone puri tarah se dead ho sakta hai.Isliye rooting process ko pure dhyaan se follow karna hai.(Note : Agar ham moble app se root kar rahe hai toh yeh safe method hai.)

Android Phone Ko Root Kaise Kare - Bina PC Ke

  • Android phone ko root karne ke lie market me bahot se Android applications ghum rahe hai.lekin jo sab se best hai mai uske bare me hi batane wala hu.
  • Apne Phone Se Root karna bahut hi simple hai.iske lie sab se pehle aapko KingRoot naam ki ek application apne mobile me install karni hogi.KingRoot ko aap Google Playstore Ya Yaha Se Direct Download Kar sakte hai.

  • DOWNLOAD KARE.
  • Agar aap apne phone ko Root karna chahte hai toh fatafat KingRoot Application download kar le.
  • Download karne ke baad usse install kar dijiye fir Open kare.
  • Open karne ke baad aapko ROOT likha hua dikhai dega.Uss ROOT option par click kare.
  • ROOT par Tap karte hi aapke phone ki rooting process start ho jayegi.Jo percentage % ke roop me dikhai dega.
  • Process complete ho jane ke baad aapka mobile root ho chuka hoga.
  • ROOT success hua ke nahi ye jane ke lie aap ROOT Checker App install kar lijiye.Ye App aapko batayega ki aapka mobile root hua hai ke nahi.
Must Read : Hacker Kaise Bane

Mobile Ko Aasani Se Root Karne Ke Liye 5 Best Android Apps

Agar aapka phone upar batayi hui one click root app se root nahi hota hai toh pareshaan hone ki koi jarurat nahi hai kyu ki or bhi kuch best android apps hai jinka use kar ke aap aasani se android mobile ko root kar sakte hai.
  1. I Root App
  2. Vroot
  3. Framaroot
  4. Z4 Root
  5. KingoRoot

Final Tips : Apne Mobile Ko Internet Ke Through Sahi Jankari Se Root Kare

  • Yaha di hui root helping apps se bhi agar aapka mobile root nahi ho raha hai toh ab aapko aakhir me kya karna chahiye ? Simple hai agar ab aap free me apne tarike se android mobile ko root karna chahte hai toh internet world me uske realated jankari haasil karni hogi.
  • Vaise toh yaha batayi hui apps se aasani se mostly android phones root ho jate hai par kuch android devices aise hote hai jo inme se kisi bhi apps se root nahi ho pate hai.Agar aapke saath bhi kuch aisa hi ho raha hai toh aap ye final method try kar lijiye.Isme aapko apne device ko root karne ke liye duniya bhari ki informations mil jayegi.
  • Yeh bahot hi simple or behtar tarika hai.Sab se pehle aap google ko open kare or search box me kuch is tarah se type kare.Example - "How to root Samsung Galaxy Y without PC"
  • Ye sirf ek example tha Yaha pe aap samsung galaxy Y ki jagah apne mobile device ka naam or model number likhiye.
  • Aise karne se internet pe jitni bhi aapke device ko root karne ki jankari hai voh aapko mil jayegi.Jisse follow kar ke aap aasani se apne android device ko root kar payege.

Agar Mobile Root Na Ho Toh Kya Kare

  • Bahot log apne phone ko mobile app se root karne ki koshish karte hai but unka phone root nai ho pata hai.Kyu ki latest android mobile me high security hai or voh hame mobile se root ki permission nai deta hai.
  • So ab aisi situation me aapke paas 2 raste hai 1.mobile ko root hi mat kare jaise hai vaisa hi rehne de 2.Agar aapka irada pakka hai ki mobile ko kisi bhi haal me root karna hi hai.Toh sab se pehle aap jis device ko root karna chahte hai uske bare me internet par PC method search kare.
  • I sure aapko internet par aapke device ko pc se root karne ke bare me lot of information mil jayegi.Agar phir bhi mobile root na ho.Toh finaly aap kisi mobile repairing shop wale ke paas chale jaiye.Voh aapko bina kisi jhanjhat ke simly 100 se 150 rupaye me fully mobile root kar dega.

Rooted Mobile Ko Unroot Kaise Kare

  • Phone root ho jane ke baad agar aap chahte hai ki phone vapas jaisa tha vaise condition me aa jaye toh aap aisa kar sakte hai.Aap rooting device ko backup yani ki unroot kar sakte hai.Follow below steps.
  • Super SU app ko install kare Ya fir ek baar apne mobile me check kar lijiye shayad pehle se hi mojud ho - Download Here !
  • Super SU app ko open kare fir setting me jaiye vaha aapka " Full Unroot " naam ka option show hoga.Vaha click kar dijiye.
  • Full Unroot par click karne ke baad aapka mobile unroot process start kar dega.Fir kuch der baad apne mobile ko restart kar lena.All is Successfully done !
NOTE : Ek baar phone root ho jane ke baad company aapke phone ki koi jimedari nahi leti.matlab phone root ho jane ke baad phone par puri tarah se apki maliki aa jati hai.ROOT ke baad agar aapse koi galti hoti hai toh aapka phone dead bhi ho sakta hai.Islie aap jo bhi kare apne risk par hi kare.Vaise toh ye puri process safe hai par fir bhi agar kuch gadbad hoti hai toh uske jimedar aap rahoge.
My SelF MANISH GUPTA

Whatsapp NUM. +919919652135

Fb . www.facebook.com/manish.guptamau123

     www.facebook.com/manish.mau6

No comments:

Post a Comment