Saturday, 14 January 2017

Youtube Se Paise Kaise Kamaye step by step

Hello Friends, agar aap online paise kamane ke bare soch rahe hai to aapko ek baar Youtube ke baare jaan lena chhaiye Youtube ek aisa platform hai jaha se aap easily ache khase paise earn kar sakte hai, Kafi sare logo ne Youtube par channel bana rakhe hai aur unse wo kafi sare paise earn bhi kar rahe hai, Dosto agar aapko bhi Videos banane ka sauk hai aur usko Upload kar paise kamana chahte hai to youtube se badiya platform paise kamane ke liye aur koi ho hi nahi sakta hai.
youtube se paise kaise kamaye
Maine aapko ish post se pahle kafi sare Ideas diye hai online paise kamane ke liye, ummid karta hu aapne meri wo posts padi hogi agar apne abhi tak un posts ko read nahi kara hai to mai aako suggest karuga ki aap jald hi un posts ko read kar le, un posts me maine online paise kamane ke liye bahut se tariko ke bare bataya hai jisse padhkar aapki online earning ki 60% problem hal ho jayegi, youtube online earning ke liye ek bahut hi badiya way hai india me croro log isme apna Self – Made video banakar aur usko isme upload kar paise kama rahe hai.
Youtube me sabse achhi baat ye hai ki yaha koi bhi banda chahe wo ek Student ya Employe kyu na ho isme video upload kar sakta hai, kuch logo ka kahna hai khaas kar india me online buisness ka koi future nahi hota, pata nahi wo aisa kyu kahte hai par agar mere experience ki baat kare to maine sirf wahi bande ko isme succefull dekhe hai jo everyday hard work karte hai, Dosto isme ek baat to hai agar online buiesness me succesfull hona chahte hai to Hard Work kare, iske bina aap kuch nahi karte suru suru apko pareshani hogi but waqt ke saath dhire dhire aapko iska achaa result milta jayega, Khair Youtube me aisa nahi hai agar aap Blogging kar rahe hote to baat kuch aur hoti but youtube me apko apne Talent se succesfull hona hoga agar aap bhi evry day ek Unique video isme upload karte hai to aapko bhi succesfull hone se koi nahi rok sakta.

Youtube Kya Hai?

Ye ek website hai jisme aap koi bhi videos ko online stream kar sakte hai, isko sepecially videos browse karne ke liye banaya gaya tha jisme koi bhi user jo isme registered ho online video dekh sakta hai, Suru me ye mobile platform par bhi nahi thi lekin baad me isko mobile user ke liye utara gaya, Isko 2005 me banaya gaya tha aur ise banane wale chad hurly,  Steve chen,or Javed karim the jo ki pahle Paypal ke liye work karte the, ise banane ke thik 1 year baad google ne ise November 2006 me kharida tha. Suru me aap isme sirf Videos hi online dekh sakte the lekin ab aap isme Videos ke saath saath paise bhi kama sakte hai.

Youtube Se Paise Kamane Ke Liye Kin Chijo Ki Jarurat Padti Hai?

Talent – Jab isse paise kamane ki baat aati hai to apke paas iske liye Talent hona bahut hi jaruri hai, Bina talent aap isse paise earn nahi kar sakte, Isme aapko Unique Videos upload karne hota hai jo ki pahle se Copyrigh na ho aur Unique videos banane ke liye aapko Singing, Dancing, Teaching, or Blogging isme se kuch aana chahiye waise aap in sab se diffrent Topic par bhi videos banakar upload kar sakte hai jaise Lauaghing, Traveling jo bhi aapka man ho.
Video Camera – Agar accesories ki baat kare aapke paas ek achaa HD recoding video camera hona chahiye aap mobile camera ka bhi use kar sakte hai but dhyan se videos ki quality reduce nahi honi chahiye agar aap Low quality ki videos apne channel me upload karege to wo audience ko utna pasand nahi aayegi.
Best Video Editing Software – Videos banane ke baad use edit karne ke liye ek badiya video editing software hona bhi bahut jarui hai, agar aap ek beginner hai to apko videos edting ke liye internet me bahut se software mil jayege but mai aapko suggest karuga aap saadi ki videos banane wali company jo video editing software use karte hai uska use aap apna video edit karne ke liye kare kyuki isme fetures bahut hote hai aur ye aapke budget me bhi fit hoti hai.
Computer – Iske bina aap kuch nahi kar sakte sabse must yahi agar aap mobile se bhi videos ko upload karte hai videos ko monetize karne ke liye aapko computer ki jarurat padti hai, Waise to aap kafi had tak videos ko edit aur upload apne phone se kar sakte hai lekin usko monetize aur adsense se youtube ko jodne ke liye aapko pc ki jarurat padti hai, agar aapke paas pc nah hai to koi dikkat nahi aap ye kaam Cyber Cafe jakar bhi kar sakte hai.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye?

Isme apna apna koi bhi video upload kar paise kama sakte hai lekin wo aap tab kar sakege jab aapke viewer achee hoge, Isse paise kamane ke liye sabse pahle aapko youtube me ek new account create karna hoga aur jab account ban jaye tab aapko apna ek Custom Channel banana hoga jaha aap apne videos ko store karege, Isme account banakar channel kaise create kare chaliye mai aapko step by step batata hu –
Step 1. Sabse pahle Youtube Site me jaiye.
Step 2. Ab yaha apne Google ID se LogIn kare.
Step 3. Account ban jane ke baad My Channel me click kare.
Step 4. Ab My Channel ka page khule ke baad Add New Channel me click kare.
Step 5. Ab aap channel ka naam likhar ise create kar le.
Step 6. Ab isme aap 2-4 videos ko upload kar de.
Ab apaka channel bhi create ho chuka hai aur aapne usme 2-4 videos bhi upload kar diye hai ab aapka next step Uploaded Videos ko monetize karna hai iske liye youtube ne ek option de rakha hai jise mai next post me aapko pure detail me batauga, Videos ko monetize karne baad ab aapko usi Google ID se ek adsense account create karna hai aur adsense account ko Youtube account se jodna bhi hai. Adsense account me hi aapki jitni bhi kamai hogi sab usi me store hogi aur aap adsense se hi paise ko apne bank account me transfer kar sakege.

Kamai Kaise Hogi Aur Payment Kaise Milegi?

Jab bhi koi viewer aapke videos me chalne wale Ads ko dekh kar usme click karega tab aapki kamai hogi aur agar koi ads me click na bhi karta ho tab bhi apki kamai hogi aur ye kamai 1000 views me 1$ tak ho sakti hai, Matlab ki jab aapke videos ko 1000 times dekha jayega tab aapko youtube 1$ pay karegi aur ye pay videos ke popularity ke hisab se increase bhi ho sakti hai.


Aapki jitni bhi kamai hogi wo sab adsense account me store hogi aur use aap 100$ hone ke baad hi reedem kar sakte hai, Adsense account banate waqt ye dhyan me rakhe ki aapka naam aur adress sab sahi sahi ho, isme account banate waqt aapse bank account ko adsense account se jodne ko kaha jayega tab ise jodne ke liye aapko IFSC code ki jarurat padegi jise aap apne najdiki bank branch se prapt kar sakte hai, Agar aapka bank account nahi bhi hai to aap EFT se paise ko redeem kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment