Monday, 23 January 2017

Online railway ticket booking ghar baithe kaise kare details in hindi

Hello friends,


is post me hum sikhenge ki indian railway ki site me kaise ghar baithe apna railway ki ticket book kare,

Online railway ticket book kaise kare


indian railway ki site me railway ki ticket booking karne se pahle railway ki site par apna ek free me account banana hota hai ,fir hame user id aur password diya jata hai jisse ki hum railway ki site me us user id aur password se railway ticket book karte hai,

Online railway ticket book karne ke liye user id aur password kaise banate hai

aur ye bhi jaan sakte hai ki hame jis din yatra karni hai us din kitni seat avilable hai,confirm hua ya nahi ,
 to chaliye ghar baithe ek indian railway ki ticket booking karte hai,
sabse pahle aap apne browser me type kare IRCTC.CO.IN fir search kare,
ab aap indian railway ki site par hai aapko niche pic. Jaisa dikhai deta hai,



on line railway ticket booking kaise karte hai



 upar pic. Dekhe usme 1 NO. Pe aap apna user id daale,
2No. Pe aap apna password daale,
3 NO. Pe aapko captcha ke code daale jo 3 No. Ke box ke niche hai, dhyan rakhe ki aapko code ke sabhi word capital letter me bharne hai,
ab 4 No. Pe click karke login kare.
ab aapko niche pic. Jaisa dikhai deta hai,


on line railway ticket booking kaise karte hai



upar pic. Dekhe jaha pe gola lagaya gaya hai wo aapko ticket book karne ke baad kaam aata hai ,aap yaha se apni book kiye gaye ticket ko cancel kar sakte hai aur change karna chahe to change bhi kar sakte hai,to chaliye ek ticket book karte hai, pic. Me left side me make my journy pe ckick kare fir uske baad,
upar pic. Dekhe usme 1:- No. Pe aap kaha se yatra karna chahte hai us station ka naam daale,maine ambikapur daala hai,
 2:- Is number pe aap kaha taq yatra karna chahte hai to us station ka naam daale maine durg daala hai,

3:- Is no. Pe aap wo date daale jis date ko aap yatra karna chahte hai,

4:- Is no. Me aap ticket kaise lena chahte hai wo select kare jaise aapko cooriur se ticket chahiye to i - Ticket select kare aur yadi aap ticket ghar baithe chahte hai to e- Ticket select kare,maine e ticket select kiya hai,

5:- Ab is number pe click karke submit kar de. Ab aapko niche pic. Jaisa dikhta hai,



on line railway ticket booking kaise karte hai



upar pic. Me dekhe jaha maine 1 No. Likha hai usme aapke ticket ki class hogi matlab ki aap kis class se yatra karna chahte hai to mujhe to sabse sasti wali chahiye isliye maine kewal sL ko select kiya hai, wahi pe aap koi special train se yatra karna chahte hai to wo bhi select kar sakte hai par muje special train nahi chahiye isliye maine other ko select kiya hai, Fir wahi pe from station me aap kaha se yatra karna chahte hai wo hoga.

fir upar pic. Dekhe center me aapke train ke baare me hoga,to aap handicap hai to wo select kare,yadi aap ladis hai to wo select kare, aur aap generl se yatra karna chahte hai to general select kare.

ab aap jis class me yatra karna chahte hai wo select kare upar pic. Me 2 No. Ko dekhe maine sL ko select kiya hai kyuki mujhe sasti chahiye,sL me click karne ke baad niche pic. Jaisa page aa gaya hai,



on line railway ticket booking kaise karte hai



 upar pic. Dekhe 1 NO. Pe aapne jo train ,class,select kiya hai wo hai,aur sath me time bhi hai ki kab kitne time train chhutegi  aur kitne time aapke station pahuchegi.

ab upar pic. Me 2 No. Ko dekhe isme aapke ticket ke paise ke baare me hai,

ab fir upar pic. Me 3 No. Ko dekhe ki aap jis train se jis taariq ko yatra karna chahte hai wo avilable hai ya nahi us date ki aage taariq ki bhi avilable dikha raha hai aur seat kitni hai wo bhi hame dikha raha hai, avilable ke bagal me jo number likhi hui hai wo seato ki संख्या Hai.


ab aap jis bhi date ko yatra karna chahte hai us box ke book now pe click kare.ab aapko niche pic. Jaisa page dikhai dega,



on line railway ticket booking kaise karte hai
ab upar pic. Dekhe is pic. Me
1:- Aapke train,class,quota,paise,train ke baare me hai,
2:- Jo bhi yatra karna chahte hai unke naam yaha dale.
3:- Yaha pe apna aur unka jo yatra karenge age daale.
4:-  Yaha mail hai ya femail wo daale.
5:- Yaha aapko kon sa birth chahiye wo select kare ya fir no prefrence hi rahne de.
6:- Ye box unke liye khulegi jinki umr 60 Saal se upar hai..nahi to ye box nahi khulegi ise aese hi rahne de.
7:- yaha aap apna aur jo bhi yatra karenge unka adhar card number de par ye jaruri nahi hai ye optional hai.
8:-yadi aapke sath aese bache hai jinki umr 5 Saal se kam hai to unka detail yaha bhare.
9:- Yaha jaisa hai waisa rahne de.
10:- Yaha aap jo code diya hai waha pe wo captcha code daale yadi code nahi samaj aata to code refresh kar le dhyan rakhe ki code kewal capital letter me daalna hai.
11:- Yaha aapka mobile number hoga,jisme ki message aayega.
ab niche next par click kar de aapko niche pic. Jaisa dikhega,
on line railway ticket booking kaise karte hai



 upar pic. Dekhe isme 1 Aur 2 Number pe aapka aur aapke train aur paise ka detail hai.

3:- Upar pic. Dekhe yaha aap payment kisse karna chahte hai wo select kare.

4:- Yaha aap apne bank ka naak select kare.
5:- Fir make payment par click kar de.

ab niche pic. Jaisa page hoga.



on line railway ticket booking kaise karte hai



upar pic. Dekhe isme

1:- Yaha apna atm card number daale.
2:-atm card ka expiry date ya atm card kab bana hai uska month aur year daale.
3:- Atm card kiske naam par hai uska naam daale.
4:- Us atm card ka pin code daale.
5:-Box me diye code ko daale.
6:- Fir procced par click kar de.

ab aapko niche pic. Jaisa page dikhai dega,



on line railway ticket booking kaise karte hai



 upar pic. Dekhe isme 1:- Is no. Pe kuchh na kare.
2:- yaha OTP (one time password Vaild-30min.) Pe tick kare fir aapke mobile number pe ek password aayega use yaha box par daale.
3:- fir next pe click kare.

ab aapka online ticket book ho chuka hai.

ab us site ke home page par jaaye waha MY TRAnsITION par click kare fir LAST TRANSITION par click kare,
sort me
home page->>my transition->>last transition

ab aapko aesa page dikhai dega niche pic. Dekhe,



on line railway ticket booking kaise karte hai
is page me aap booking id aur booking status dekh sakenge,
aap booking id pe click karke aap apni ticket dekh sakte hai aur print par click kar print kar sakte hai,

 I hope कि ये जानकारी आपको अछी लगी होगी, आपको इस पोस्ट से रिलेटेड कहि भी परेशानी होती है तो आप मुझसे comment box से पुछ सकते है|
और अबतक आपने हमारा website i am helps hindi subscribe नही किया है तो बिना समय गवाय हमे subscribe कर ले और ऐसा आपको कर लेना चाहिये क्युकी हम इसमे computer,internet,मोबाइल,internet कि तक्निकी जानकारी के बारे मे और बहुत सी जानकारी डालते है और इसकी जानकारी आपको free मे मिलती रहती है तो बिना समय गवाये subscribe कर ले|
subscribe करने के लिये आपको अपना e mail डालना होगा , इसके बाद subscribe पर क्लिक करे ! आपको एक popup window दिखेगी , उसमे दिये कोड कुछ इस तरह होंगें gHXja उसे सही तरह डालकर complete subscription पर क्लिक करे ! अब आपके डाले गए e mail id पर एक e mail message आ गई होगी ,, अपना वही e mail खोले ऄार message देखें ! message मे दिये लिन्क पर क्लिक करे ! अब जाकर आपका subscription complete/confirm होगा ऄार हमारे पोस्ट की जानकारी आपको आपके ई मेल पर मिलेगी !

sikhte rahiye बढते rahiye
Thank you

No comments:

Post a Comment