Monday, 23 January 2017

Hamara Facebook Account Kon Hack Kar Raha Hai Kaise Pata Kare - How To Protect Your Facebook Account From Hackers

Aaj kal Kafi websites par bataya ja raha hai Facebook hack kaise karte hai isi liye proffesional hackers & crackers to the hi par saath me aam aadmi bhi hacking ke bare me jane laga hai jiski vajah se hackers ki sankhya badhti ja rahi hai.Jyadatar log hacking kisi se badla lene ke liye,kisi ka fayda uthane ke liye,kisi ko blackmail karne ke liye karte hai.Or yeh sab kartoos ek hacker facebook ke zariye kar sakta hai.Is liye aise dor me aapko hamesha chokana rehna chahiye shayad aapka bhi account koi hack kar le.
Hamara Facebook Account Kon Hack Kar Raha Hai Kaise Pata Kare - How To Protect Your Facebook Account From Hackers

Maan lo ki agar aapka facebook account hack ho bhi jata hai toh aapko pata kaise chalega ? Agar aapka facebook account koi hack karta hai toh uska pata lagane ka sirf ek hi rasta hai jo facebook ki site me hi moujud hai.Hacking se bachne ke liye facebook me ek setting karni hoti hai.Setting karne ke baad jab bhi koi hamare facebbok account pe login karta hai toh hame pata chal jata hai voh bhi login karne wale ki puri details ke saath.

Hamare Facebook Account Par Kisne Login Kiya Kaise Jaane

Hamara Facebook Account Kon Hack Kar Raha Hai Kaise Pata Kare - How To Protect Your Facebook Account From Hackers
  • Ab upar ki taraf right side me (last wala option) jo drop-down features hai us par click kare.
  • Fir usme se niche ki taraf jo Setting hai us par click kare.
Hamara Facebook Account Kon Hack Kar Raha Hai Kaise Pata Kare - How To Protect Your Facebook Account From Hackers
  • Ab image me bataya hai us tarah ek new page khulega.Usme Security par click kare.Fir Login Alerts me Edit par click kare.
  • Edit par click karte hi ek drop-down menu khulega jisme image ki tarah setting karna hai.
Hamara Facebook Account Kon Hack Kar Raha Hai Kaise Pata Kare - How To Protect Your Facebook Account From Hackers
  • Image me bataya hai us tarah setting karne ke baad Save Chnages button par click kare.
  • Setting complete karne ke baad ab jab bhi koi aapke facebook account me mobile ya computer se login karega toh uski notification,details jaisi jankari aapke email me or mobile number par aa jayegi.
  • Yeh trick hacking ka baap hai kyu ki jab koi hacker aapka facebook account hack karega toh usse lagega ki voh kitna smart hai ki aapko pata bhi nahi chalne diya or aapka account hack kar liya lekin mamla kuch or hoga jo aap samajh gaye hai.Is tarah koi bhi anjaan aapke saath kuch galat karna chahe toh aap uske bare me jaan ke usse sabak sikha sakte hai.

Yeh choti par bahut hi important jankari hai so dusre ki help or sahayta ke liye social sites pe apne dosto ke saath is helpful post ko share jarur kare.Agar aap chahte hai ki aise articles ki news aapko roz milti rahe toh hamare helpful blog ko subscribe kare.Milte hai apni next post mein tab tak Take Care !

..........................................Thanks For Reading & Keep Visiting..........................................

No comments:

Post a Comment