Monday, 23 January 2017

Android Mobile Ke Pattern Lock,Password Lock Ya Kisi Bhi Lock Ko Sirf 1 Minute Me Unlock (Tode) Kaise Kare



Aaj mostly har kisi ke paas android phone hota hai.Matlab ki aaj ki situation me har banda mostly android device hi use karta hai.Apne android device me bahot sare features available hote hai jisme se ek aisa hi security feature hai Android locking system jisme ham Pattern lock,Pin lock,Password lock Jaise locks rakh sakte hai.Or isi lock ke vajah se kabhi-kabhi ham problem me aa jate hai.
Android Mobile Ke Pattern Lock,Password Lock Ya Kisi Bhi Lock Ko Sirf 1 Minute Me Unlock (Tode) Kaise Kare
Agar ham koi hard password,pin ya pattern se android ko lock kar de toh kabhi kabhi ham yeh locking system ko bhool jate hai.Or phir aati hai badi samsya ki itne mahenge android phone ko ab thik kaise kare ? Kya hame android phone ko thik karne ke liye Repair shop me jake koi high kharcha karna padega ? Kharche se yaad aaya ki yeh baat sahi hai India me jitne bhi android phones lock hote hai usme se 70 % log toh Mobile ko unlock karne ke liye repairing shope me de aate hai Jiska kharcha 200 ke aaspas hota hai.

\Par me bata du ki aapko itna kharcha karne ki koi jarurat nahi hai kyu ki aap aasani se apne haatho se sirf 1 minute mein hi apne android device ho unlock kar ke fir se open kar sakte hai.Android locked device ko open karne ke liye internet par 5-6 popular methods ghum rahe hai.Jaise ki Google Recovery Method,PC through screen lock bypass method,PC software and commands through,Android Phone Recovery Mode etc.



In sabhi me se jo sab se easy or best method hai voh hai Apne khud ke android phone se hi Device ko Unlock karna.Agar aap is method ka use karege toh koi tension bhi nahi or aapka android mobile sirf 1-2 minute me hi Unlocked ho jayega.Yahi method mera or puri duniya ka sab se favorate hai isliye aaj me isi method se android phone ko Unlocked karne ke bare me batauga,.




Android Phone Me Kaise Or Kitne Types Ke Locks Hote Hai

  • Mostly Android devices me 3 types ke locks available hote hai.(1) Pattern lock (2) Pin lock (3) Password lock.
  • (1) Pattern Lock : Pattern lock me hame screen par 9 big points show kiye jate hai jisme hame apna ek unique pattern draw karna hota hai.
  • (2) Pin Lock : Pin Lock yaani ki number lock.Hame kuch numbers type kar ke screen ko lock karna hota hai.
  • (3) Password Lock : Password lock me sab kuch aa jata hai.Isme hame Numbers,Keywords,Special symbols Se screen lock karni hoti hai.


Android Mobile Ke Pattern Lock Ko Todne (Kholne) Ka Sab Se Best Or Aasaan Tarika

  • Is method ka use karne ke baad aapka phone ekdam nayi naveli dulhan ke tarah ho jayega.Yeh method ke use karne se aapko lagega ki aapka phone aapne abhi abhi naya ki kharida hai.Unlock hone ke baad phone bilkul vaise ho jayega jab aapne new buy kiya tha.Matlab ki Factory data reset karne par aapke phone me Device data and sari informations delete ho jayegi.or bilkul naye jaisa lagega.
  • NOTE : Jab aap device ko Fully Reset Kar Rahe Ho Tab Simcard Or Memory Card Ko Mobile Se Bahar Nikaal Lijiye.
  • Are you ready to fully hard reset Your Locked Mobile ? Ab sab se pehle apne locked android device ko swith off kar dijiye.
  • Swith off karne ke baad ab aapke android phone ko ham ek nayi duniya me le jane wale hai jiska naam Hai Android Recovery Mode ki duniya.
  • Recovery Mode ko On karne ke liye Volume Down Key+Home Key+Power Key ko ek saath dabaye rakhe.
  • Jab aap recovery mode me pravesh karege tab Aapki touchscreen kaam nahi karegi.Isliye aap Up-down karne ke liye Volume buttons Or Option select karne ke liye Home button ka use kijiye.
  • Ab recovery mode me kuch options show hoge usme se aap Wipe Data/Factory Reset Par click kare.
  • Agar home button se option select na ho ya aapke mobile me home button na ho toh Select karne ke liye Power button ka use kar sakte hai.
  • Ab aapki reset process start ho jayegi or kuch hi minuto me aapko phone puri tarah se reset ho jayega or aapka lock bhi open ho jayega.
  • Fully reset karne se sab kuch aisa ho jayega jaise naya phone kharida tab tha.Isliye aapko mehsus bhi aisa hoga jaise aapne koi naya phone kharida ho.So lets Enjoy Your New Phone !



Reset ho jane ke baad Koi tension lene ki jarurat nahi hai kyu ki aapne koi kharcha kiye bina hi apne genius haatho se android mobile ko unlock kar diya hai.Ek baat kahu friends yeh ek bahot hi mast method hai apne aaspas ke logo me famous hone ke liye kyu ki jab bhi kisi ka android mobile lock ho jaye toh aap free me uske locked device ko unlock kar sakte hai.Okay Toh ab aaj ka post yaha pe samapt hota hai Milte hai apne next post mein tab tak Take Care.

...........................................................Thanks For Reading....................................................

No comments:

Post a Comment